VIEW FULL VERSION: Link
Subject: 'F@r@z' Naama
Content: Barsoun ke baad dekha ik shaKhs dil ruba sa , ab zahan main nahain hai par naam tha bhala sa abaru khienche khinche se ankhain jhuki jhuki se, baatain ruki ruki se lahaja thaka thaka sa alfaaz the ke jugnu awaz ke safar main, ban jaye jangaloun main jis tarah raastaa saa Khwaabon main Khwaab us ke yaadoun main yaad us ki, nendoun main ghul gaya ho jaise ke rat jagaa saa pahale bhi log aaye kitane hi zindagii main wo har tarah se lekin auroun se thaa judaa saa agalii muhabaton nay wo naa_muradiyaaun dein taazaa rafaaqatoun se dil thaa Daraa Daraa saa , kuchh ye ke muddatoun se ham bhi nahain the roye kuchh zahar main bujhaa tha ahabaab kaa dilaasaa phir youn howa ke saavan ankhoun main aa base the phir youn howa ke jaise dil bhi thaa aabalaa saa ab sach kahein to yaaro ham ko Khabar nahain thi ban jayegaa qayaamat ek waaqia zaraa saa tevar the beruKhi ke andaaz dosti ke ,, wo ajanabi tha lekin lagataa thaa aashnaa saa ham dasht the ke dariyaa ham zahar the ke amrit naahaq tha zonum ham ko jab wo nahain tha pyaasaa ham ne bhi us ko dekhaa kal shaam ittefaaqan ,, apanaa bhi haal hai ab logo 'Faraz' kaa saa ..!